KHizan ki rut hai janam-din hai aur dhuan aur phul
hawa bikher gai mom-battiyan aur phul
wo log aaj KHud ek dastan ka hissa hain
jinhen aziz the qisse kahaniyan aur phul
ye sab tere mere izhaar ki alamat hain
shafaq ke rang mein shoala, lahu, zaban aur phul
yaqin kar ki yahi hai bujhe dilon ka ilaj
teri wafa teri chahat tera guman aur phul
'zafar' main surat-e-KHushbu qayam karta hun
so ek se mujhe lagte hain sab makan aur phul
Ghazal
KHizan ki rut hai janam-din hai aur dhuan aur phul
Sabir Zafar