KHizan ki aazmaish ho gaya hun
main ek jangal ki chahat mein hara hun
meri kashti kabhi gharqab ki thi
abhi tak main samundar se KHafa hun
parinde ho gae naraaz mujh se
kaha jab main bhi uDna chahta hun
koi wahshat se bhi milwae mujh ko
main sahra mein abhi bilkul naya hun
abhi ek raushni aai thi milne
sabab kya hai ki main bujhne laga hun
yahan ke peD sare dam-ba-KHud hain
ghazab hai main hi kaTa ja raha hun
koi pani mein kab tak rah sakega
main ashkon se to aankhon tak bhara hun
Ghazal
KHizan ki aazmaish ho gaya hun
Suhail Akhtar