اردو हिंदी
KHizan ke hosh kisi rose main uData hua | Shaahi Shayari
KHizan ke hosh kisi rose main uData hua

Ghazal

KHizan ke hosh kisi rose main uData hua

Imran Husain Azad

;

KHizan ke hosh kisi rose main uData hua
tumhein dikhunga yaqinan bahaar lata hua

tamam war meri ruh par the lekin main
tamam umr phira jism ko bachata hua

KHushi se karna rawana mere makan mujh ko
main haar jaun agar wahshaten haraata hua

bahut udas akela hamesha lauTa kyun
falak pe jo bhi dikha mujh ko jagmagata hua

mujhe bulane makan aa na jae sahra tak
main ghar se aaya to hun naqsh-e-pa miTata hua

tumhaari yaad hai bikhri paDi kai din se
laraz raha hun main apne hi ghar mein aata hua

hai ek gharib ke bachche si zindagi apni
KHushi ka parb bhi guzre jise rulata hua

ye tere lams ka jadu hai ya wafa meri
badan se aa gaya bahar gale lagata hua