KHizan ke dosh pe hai fasl-e-gul ka raKHt abhi
ki barg-o-bar se KHali hai har daraKHt abhi
abhi ghamon se ibarat hai sar-nawisht-e-bashar
ki aasman pare hai zamin saKHt abhi
samajh shua-e-burida na sirf jugnu ko
kiran kiran ka jigar hoga laKHt laKHt abhi
mata-e-jaan bhi use pesh kar chuka hun main
mere raqib ka lahja hai kyun karaKHt abhi
tamam raat raha mai-kada-nashin 'jafar'
gaya hai uTh ke yahan se wo nek-baKHt abhi
Ghazal
KHizan ke dosh pe hai fasl-e-gul ka raKHt abhi
Jafar Baluch