اردو हिंदी
KHizan ke be-kaif manzaron ka ba-rang-e-KHushbu jawab rakhna | Shaahi Shayari
KHizan ke be-kaif manzaron ka ba-rang-e-KHushbu jawab rakhna

Ghazal

KHizan ke be-kaif manzaron ka ba-rang-e-KHushbu jawab rakhna

Sauf Sadiq

;

KHizan ke be-kaif manzaron ka ba-rang-e-KHushbu jawab rakhna
kisi ki yaad ka apne dil mein koi mahakta gulab rakhna

tum apne kirdar aur amal ko bana ke aaina-e-talaffuz
hasin lafzon ki suraton mein shanaKHton ki kitab rakhna

udas chehra hai sham-e-gham ka dhuan dhuan shab utar rahi hai
abhi se koi sahar ka manzar nazar mein apni janab rakhna

bhula na de ye zamana tum ko qadim qabl-e-masih kah kar
ki zindagi ki kahaniyon mein koi haqiqat ka bab rakhna

inad-o-nfrat ka zahr koi basaraton mein kabhi na ghole
hamesha aankhon ke mai-kade mein mohabbaton ki sharab rakhna

bachi-khuchi nekiyon ko tum bhi uTha ke dariya mein Dal dena
kisi bhi saleh amal ka apne kabhi na koi hisab rakhna

sahar ki dhundli si raushni mein tamam din ki basiraten hun
shuur bedar karne wale hamari aankhon mein KHwab rakhna