اردو हिंदी
KHizan ka qarz to ek ik daraKHt par hai yahan | Shaahi Shayari
KHizan ka qarz to ek ik daraKHt par hai yahan

Ghazal

KHizan ka qarz to ek ik daraKHt par hai yahan

Iqbal Ashhar Qureshi

;

KHizan ka qarz to ek ek daraKHt par hai yahan
ye aur baat ki har shaKH bar-war hai yahan

jo soch sakta hai wo zehn jal raha hai abhi
jo dekh sakti hai wo aankh KHun mein tar hai yahan

sunega kaun in aankhon ki be-sada fariyaad
samaaton ka to andaz hi digar hai yahan

sataya aaj munasib jagah pe barish ne
isi bahane Thahar jaen us ka ghar hai yahan

hisar-e-jism se bahar bhi zindagi hai mujhe
ye aur baat ki ehsas mo'tabar hai yahan