KHizan jab aae to aankhon mein KHak Dalta hun
hare daraKHton ko be-barg kis tarah dekhun
chaman ki aankh se mausam ke husn ko dekhun
bahaar aae to patton ke pairahan pahnun
dil o nigah ka ye fasla bhi kyun rah jae
agar tu aae to main dil ko aankh mein rakh lun
na puchh haal mera hun wo aatish-e-KHamosh
zara hawa to chale aur main bhaDak uTThun
inhi ke zahr se hai raushni bhi aankhon mein
ye phul sanp hain chumun ki ehtiyat karun
kabhi samajh mein na aaya wo kaun hai kya hai
yahi bahut hai ki main apne dil ko samjha lun
utar phenk kabhi to ghubar sa malbus
ye tera jism hai pyare ki raushni ka sutun
Ghazal
KHizan jab aae to aankhon mein KHak Dalta hun
Shahzad Ahmad