KHizan ba-rang-e-bahaaran hai dekhiye kya ho
sukun ke bhes mein tufan hai dekhiye kya ho
ilahi KHair ho haalat hi digar-gun hain
kabhi jo kufr tha iman hai dekhiye kya ho
rawan-dawan the jo lamhat ruk gae yak-dam
sukut-e-sham-e-ghariban hai dekhiye kya ho
kahan gae wo nasheb-o-faraaz yas-o-ummid
sapaT sa dil-e-viran hai dekhiye kya ho
junun-e-husn had-e-la-shuur tak pahuncha
shuur sar-ba-gareban hai dekhiye kya ho
abhi to us ka nishan tak mila nahin 'talib'
talash-e-azmat-e-insan hai dekhiye kya ho
Ghazal
KHizan ba-rang-e-bahaaran hai dekhiye kya ho
Talib Chakwali