KHisht-e-jaan darmiyan lane mein
umr lagti hai ghar banane mein
aaj phir chand der se nikla
tum ne phir der kar di aane mein
itna nam-dida tha libas-e-wajud
dhup kam paD gai sukhane mein
dekh kar tum ko hairati hun main
kis qadar husn hai zamane mein
phir piyale mein aag lag gai hai
kaun aaya sharab-KHane mein
meri nazron ne is ko nazm kiya
wo magan thi ghazal sunane mein
muztarib bhi hun mutmain bhi hun
apni ghazlon ko KHud jalane mein
Ghazal
KHisht-e-jaan darmiyan lane mein
Talib Husain Talib