KHirad yaqin ke sukun-zar ki talash mein hai
ye dhup saya-e-diwar ki talash mein hai
KHata chaman ki ki hai mubtala-e-lala-o-gul
bahaar sirf KHas-o-KHar ki talash mein hai
chhalak raha hai qaba-e-haya se us ka shabab
sharab jurat-e-mai-KHwar ki talash mein hai
wo nuqta hun jo bharam hai nuqush-e-hasti ka
zamana kya mere asrar ki talash mein hai
wo auj hun jo KHalal hai nizam-e-pasti ka
wo jurm hun jo sar-e-dar ki talash mein hai
KHas aazma hai 'muhib' shoala-zar baatil se
naya KHalil hai gulzar ki talash mein hai

Ghazal
KHirad yaqin ke sukun-zar ki talash mein hai
Muhib Aarfi