KHirad mein mubtila hai 'salik' diwana barson se
nahin aaya wo mai-KHane mein bebakana barson se
mayassar jis se aa jati thi saqi ki qadam-bosi
muqaddar mein nahin wo laghzish-e-mastana barson se
ba-yaad-e-chashm-e-yar ek nara-e-mastana ai saqi
ki hao hu se KHali hai tera mai-KHana barson se
tujhe kuchh ishq o ulfat ke siwa bhi yaad hai ai dil
sunae ja raha hai ek hi afsana barson se
kisi ko to musharraf kar de ai zauq-e-jabin-sai
taqaza kar rahe hain kaba o but-KHana barson se
nai shamen jalao aashiqi ki anjuman walo
ki suna hai shabistan-e-dil-e-parwana barson se
koi jauhar-shanas aae to jaane qadar 'salik' ki
paDa hai KHak par ye gauhar-e-yak-dana barson se
Ghazal
KHirad mein mubtila hai salik diwana barson se
Abdul Majeed Salik