KHirad ke jumla dasatir se mukarte hue
phir aaj dil se laga baiThe nam barte hue
sadaen do ki koi karwan-e-gham Thahre
hamein to ras na aaenge din sanwarte hue
jo mahw-e-raqs rahe rang-o-nur ke chau gird
bikhar gae hain teri lau ka tauf karte hue
wo taKHt-e-jaan tha jahan teri taj-poshi ki
so kis jigar se tujhe dekh lun utarte hue
hua tha hukm-e-safar dil magar tha ru-gardan
so rah mein baiTh rahe dil pe dosh dharte hue
tumhaare nam ke hijje sanwar kar us mein
ab apna nam milaenge rang bharte hue
junun pe tan karen parsai ke waiz
hawas ke kucha-e-rangin se guzarte hue
sahar qarib hui aao aankh mein bhar len
ye para para tamannaen KHwab marte hue
Ghazal
KHirad ke jumla dasatir se mukarte hue
seemab zafar