KHirad bhi na-mehrban rahegi shuur bhi sar-garan rahega
in aandhiyon mein mera junun-e-wafa magar zau-fishan rahega
badal sakegi na fitrat-e-sarkashi ko ye gardish-e-zamana
azal se jo aasman bana hai abad talak aasman rahega
ulajh ulajh kar mujhe hawadis ki tund lahron se khelne do
fasurda sahil ka KHushk mahaul mujh ko bar-e-garan rahega
abhi se meri nigahen is daur ke tasawwur ko chhu rahi hain
bujhi bujhi be-kason ki aahon pe bijliyon ka guman rahega
gharib insan ki KHudi ko baghawaten gudguda rahi hain
na ye jabin ab jabin rahegi na aastan aastan rahega
Ghazal
KHirad bhi na-mehrban rahegi shuur bhi sar-garan rahega
Farigh Bukhari