khinch ke mahbub ke daman ki taraf
aa gae aur bhi uljhan ki taraf
tum chhupate raho kitna us ko
bijliyan aaengi KHirman ki taraf
har taraf nur ka taDka dekha
kaun aaya mere aangan ki taraf
ai chaman walo rukun ya jaun
ek dhuan sa hai nasheman ki taraf
KHair-maqdam ko jhukengi shaKHen
ek zara aao to gulshan ki taraf
'arsh' kis dost ko apna samjhun
sab ke sab dost hain dushman ki taraf
Ghazal
Khinch ke mahbub ke daman ki taraf
Arsh Malsiyani