khile jo phul to munh chhup gaya sitaron ka
misal-e-abr chala karwan bahaaron ka
na mujh se puchh shab-e-hijr dil pe kya guzri
ye dekh haal hai kya mere gham-gusaron ka
nai bahaar hanse ek naya chaman khil jae
samajh sake koi matlab agar ishaaron ka
shab-e-siyah ke lamhe guzar lene do
ghaDi ghaDi na karo zikr mah-paron ka
dikhai deti hai is tarah rup-rang ki baat
faza mein raqs ho jis tarah abr-paron ka
hua na rah mein hail koi shagufa bhi
rawan-dawan hi raha qafila bahaaron ka
mujhe bhi ahl-e-jahan bhul jaenge 'shahzad'
kise KHayal hai Dube hue sitaron ka
Ghazal
Khile jo phul to munh chhup gaya sitaron ka
Shahzad Ahmad