khile hain phul ki surat tere visal ke din
tere jamal ki raaten tere KHayal ke din
nafas nafas nai tahdariyon mein zat ki khoj
ajab hain tere badan tere KHadd-o-KHal ke din
ba-zauq-e-sher ba-jabr-e-maash yakja hain
mere uruj ki raaten mere zawal ke din
KHarid baiThe hain dhoke mein jins-e-umr-e-daraaz
hamein dikhae the maktab ne kuchh misal ke din
na hadse na tasalsul na rabt-e-umr kahin
bikhar ke rah gae lamhon mein mah-o-sal ke din
main baDhte baDhte kisi roz tujh ko chhu leta
ki gin ke rakh diye tu ne meri majal ke din
ye tajrabaat ki wusat ye qaid-e-saut-o-sada
na puchh kaise kaDe hain ye arz-e-haal ke din
Ghazal
Khile hain phul ki surat tere visal ke din
Abdul Ahad Saaz