khilaya partaw-e-ruKHsar ne kya gul samundar mein
hubab aa kar bane har samt se bulbul samundar mein
hamare aah-o-nala se zamana hai tah-o-baala
kabhi hai shor sahra mein kabhi hai ghul samundar mein
kisi din mujh ko le Dubega hijr-e-yar ka sadma
charagh-e-hasti-e-mauhum hoga gul samundar mein
na chheDo mujh ko main ghawwas hun dariya-e-mani ka
na DhunDo mujh ko mustaghraq hun main bilkul samundar mein
tumhein dariya-e-KHubi kah diya gharq-e-nadamat hun
kahan ye naz-o-ghamza aariz-o-kakul samundar mein
paDa tha aks-e-ru-e-naznin arsa hua us ko
par ab tak tairta phirta hai shakl-e-gul samundar mein
uThi mauj-e-saba jumban se shaKH-e-ashiyan paiham
chali jati hai goya kashti-e-bulbul samundar mein
wo pain bagh mein phirte hain main fikron mein Duba hun
tamasha hai ki gul gulshan mein hai bulbul samundar mein
abhi to sair ko jaana lab-e-dariya wo sikhe hain
abhi to dekhiye khilte hain kya kya gul samundar mein
KHayal-e-yar kyun-kar aa gaya tufan-e-girya mein
KHuda malum kis shai ka banaya pul samundar mein
kabhi girya ka tufan hai kabhi hairat ka sannaTa
kabhi bilkul hun sahra mein kabhi bilkul samundar mein
wo zalim aashiq-azari ki 'parwin' mashq karta hai
dikha kar bulbulon ko Dalta hai gul samundar mein
Ghazal
Khilaya partaw-e-ruKHsar ne kya gul samundar mein
Parveen Umm-e-Mushtaq