khila hai phul bahut roz mein muqaddar ka
bas ab na band ho darwaza tere mandar ka
tamam shahr hai hangama-e-nashat mein gum
magar ye karb ye sannaTa mere andar ka
kabhi na khul ke hansa hun na roya ji bhar ke
rakha hai main ne hamesha qadam barabar ka
sada kisi ki ho aata hai apne aap se KHauf
wo ajnabi hun ki ghar ka raha na bahar ka
gurez hai use meri gali se yun jaise
yahan jo aaya to ho jaega wo patthar ka
ye gahe gahe ka milna bhi koi milna hai
jo ho sake to pata dijiye kabhi ghar ka
kabhi kabhi ka ho qissa to koi dukh bhi sune
uThae bojh bhala kaun zindagi bhar ka
asir-e-dam-e-fareb-e-zaban hua aaKHir
na e'tibar jise aaya dida-e-tar ka
gham-e-zamana hai wo tegh-e-tishna-kaam 'anjum'
uDe hain panw agar war bach gaya sar ka
Ghazal
Khila hai phul bahut roz mein muqaddar ka
Anwar Anjum