khil uThe phul mahak mujh ko hawa se aai
abr ke rup mein bilqis saba se aai
kan ke sath khuli aankh ki putli lekin
koi taswir ubhar ke na sada se aai
reg-e-sahil ki tab-o-tab ki dushman Thahri
lahr jo bhi pas-e-diwar-e-hawa se aai
daimi kar liya us ko ki sar-e-arsa-e-shab
dil ko jo saat-e-gham dene dilase aai
jo tamanna kabhi aai na thi lab par 'KHalid'
aaj KHun ho ke rahi dida-e-wa se aai

Ghazal
Khil uThe phul mahak mujhko hawa se aai
Khalid Shirazi