khinchi hai tasawwur mein taswir-e-ham-aghoshi
ab hosh na aane de mujh ko meri be-hoshi
pa jaana hai kho jaana kho jaana hai pa jaana
be-hoshi hai hushyari hushyari hai be-hoshi
main saz-e-haqiqat hun dam-saz-e-haqiqat hun
KHamoshi hai goyai goyai hai KHamoshi
asrar-e-mohabbat ka izhaar hai na-mumkin
TuTa hai na TuTega qufl-e-dar-e-KHamoshi
har dil mein tajalli hai un ke ruKH-e-raushan ki
KHurshid se hasil hai zarron ko ham-aghoshi
jo sunta hun sunta hun main apni KHamoshi se
jo kahti hai kahti hai mujh se meri KHamoshi
ye husn-faroshi ki dukan hai ya chilman
nazzara ka nazzara ruposhi ki ruposhi
yan KHak ka zarra bhi laghzish se nahin KHali
mai-KHana-e-duniya hai ya aalam-e-be-hoshi
han han mere isyan ka parda nahin khulne ka
han han teri rahmat ka hai kaam KHata-poshi
is parde mein poshida laila-e-do-alam hai
be-wajh nahin 'bedam' kabe ki siyah-poshi
Ghazal
Khinchi hai tasawwur mein taswir-e-ham-aghoshi
Bedam Shah Warsi