اردو हिंदी
Khinch kar mujhko har ek naqsh-o-nishan le jae | Shaahi Shayari
khinch kar mujhko har ek naqsh-o-nishan le jae

Ghazal

Khinch kar mujhko har ek naqsh-o-nishan le jae

Mubarak Ansari

;

khinch kar mujh ko har ek naqsh-o-nishan le jae
kya pata zauq-e-safar mera kahan le jae

kaam ye har kas-o-na-kas ke nahin hai bas ka
jis ko sach kahna ho KHanjar pe zaban le jae

sirf ek bar tabassum wo uchhaale to idhar
aur badle mein mera sara jahan le jae

jis ko dikhlani ho duniya ko shujaat apni
wahi sar apna sar-e-nok-e-sinan le jae

kahin raushan nazar aate nahin ab sar ke charagh
arsa-e-jang se wo KHud ko kahan le jae

apni ghazlon mein jise rang-e-quzah bharna ho
wo 'mubarak' mera ejaz-e-bayan le jae