khinch kar le jaega anjaan mahwar ki taraf
hai badan ka rasta bahar se andar ki taraf
wo bhi apne sans ke sailab mein hai lapata
jo mujhe phaila gaya mere hi manzar ki taraf
ab KHalaon ko sameTe har taraf hon gamzan
aaj hai mera safar apne hi paikar ki taraf
koi to pani ki virani ko samjhega kabhi
dekhta rahta hun ab main bhi samundar ki taraf
zehn ki qabron mein phir se sur gunja hai 'riyaz'
tangi-e-izhaar chal ek aur mahshar ki taraf
Ghazal
Khinch kar le jaega anjaan mahwar ki taraf
Riyaz Latif