khinch kar is mah-ru ko aaj yan lai hai raat
ye KHuda ne muddaton mein hum ko dikhlai hai raat
chandni hai raat hai KHalwat hai sehn-e-bagh hai
jam bhar saqi ki ye qismat se hath aai hai raat
be-hijab aur be-takalluf ho ke milne ke liye
wo to Thahraate the din par hum ne Thahrai hai raat
jab main kahta hun kisi shab ko to kafir yan bhi aa
hans ke kahta hai miyan han wo bhi banwai hai raat
kya maza ho hath mein zulfen hon aur yun puchhiye
ai meri jaan sach kaho to kitni ab aai hai raat
jab nashe ki lahr mein baal us pari ke khul gae
subh tak phir to chaman mein kya hi lahrai hai raat
daur mein husn-e-bayan ke hum ne dekha bar-ha
ruKH se ghabraya hai din zulfon se ghabrai hai raat
hai shab-e-wasl aaj to dil bhar ke sowega 'nazir'
us ne ye kitne dinon mein aish ki pai hai raat
Ghazal
Khinch kar is mah-ru ko aaj yan lai hai raat
Nazeer Akbarabadi