khiDkiyon par malgaje sae se lahrane lage
sham aai phir gharon mein log ghabrane lage
shahr ka manzar hamare ghar ke pas-e-manzar mein hai
ab udhar bhi ajnabi chehre nazar aane lage
dhup ki qashen hare maKHmal pe zau dene lagin
sae kamron se nikal kar sehn mein aane lage
jugnuon se saj gain rahen kisi ki yaad ki
din ki chaukhaT par musafir sham ke aane lage
bundiyan barsin hawa ke baadban bhi khul gae
nile pile pairahan saDkon pe lahrane lage
sochte hain kaT den aangan ke peDon ko 'shafaq'
ghar ki baaten ye gali-kuche mein phailane lage
Ghazal
KhiDkiyon par malgaje sae se lahrane lage
Farooq Shafaq