khiDkiyan mat khol jins-e-jaan uTha le jaega
ghar ke ghar ko shahr ka rela baha le jaega
sab namak ehsas ka sari halawat zaKHm ki
aane wale din ka Dar sara maza le jaega
is barasti raat ka ye aaKHiri aansu bhi kal
mujh se chahat us ki aankhon se wafa le jaega
kisht-e-dil ko chaT lega kirm-e-duniya aur phir
bach rahega kuchh to wo sail-e-hawa le jaega
jal-bujhega ek na ek din sab ka sab shahr-e-wafa
rah gai ek rakh so pani baha le jaega
tez-tar tufan ki aahaT aur yahan miTTi na aag
ab ise aane bhi do ye mujh se kya le jaega
wo mera saffak dushman lakh main ghafil na hun
KHud mere ghar se mujhe ek din bula le jaega
Ghazal
KhiDkiyan mat khol jins-e-jaan uTha le jaega
Nashtar Khaanqahi