اردو हिंदी
KhiDkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo | Shaahi Shayari
khiDkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo

Ghazal

KhiDkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo

Zafar Iqbal

;

khiDkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo
sochta hun jis mein wo rahta hai ghar kaisa hai wo

kaisi wo aab-o-hawa hai jis mein wo leta hai sans
aata jata hai wo jis par rahguzar kaisa hai wo

kaun si rangat ke hain us ke zamin-o-asman
chhanw hai jis ki yahan tak bhi shajar kaisa hai wo

ek nazar mein hi nazar aa jaega wo sar-ba-sar
phir bhi us ko dekhna bar-e-digar kaisa hai wo

main to us ke ek ek lamhe ka rakhta hun shumar
aur mere haal-e-dil se be-KHabar kaisa hai wo

us ka hona hi bahut hai wo kahin hai to sahi
kya sarokar is se hai mujh ko 'zafar' kaisa hai wo