اردو हिंदी
KhiDkiyan khol ke kaisi ye sadaen aain | Shaahi Shayari
khiDkiyan khol ke kaisi ye sadaen aain

Ghazal

KhiDkiyan khol ke kaisi ye sadaen aain

Azeez Prihar

;

khiDkiyan khol ke kaisi ye sadaen aain
yaad ye kis ki dilane ko sadaen aain

zehn ki dhund ne umron ko sawali rakkha
dhund ke parde se kitni hi shuaen aain

toD kar kaun si zanjir ye mujrim aae
jurm tha kaun sa un ka jo sazaen aain

main tujhe bhul ke duniya se lipaT jata hun
aisa karne se na jine ki adaen aain

jab kabhi KHwab jaziron pe bulaya mujh ko
KHair-maqdam ko mere nur fazaen aain

nam ek dil mein dhaDakta hai sahifa ban kar
is sahife ki hifazat ko hawaen aain