khiDki mein ek nar jo mahw-e-KHayal hai
shayad kisi ke pyar ko pane ki chaal hai
kamre ki chiz chiz pe hai hasraton ki gard
aangan mein ujli dhup ka phaila jamal hai
alfaz ke guhar teri KHatir piro liye
ye bhi to tere husn-e-talab ka kamal hai
izhaar-e-ishq karta hai ab rah chalte bhi
is ahd ka jawan baDa raushan-KHayal hai
barson ke yar kab ke juda ho gae 'said'
is shahar mein zarur murawwat ka kal hai
Ghazal
KhiDki mein ek nar jo mahw-e-KHayal hai
Taj Saeed