khiDki darwaza kholo
jo bhi kahna hai kah do
aaDi-tirchhi ek lakir
dekho socho aur samjho
pairon ki beDi khanki
sannaTo tum bhi bolo
kaisi KHushiyan kaise gham
patto TuTo aur bikhro
dil badla shaklen badlin
tum bhi badlo aaino
insanon ki basti hai
is jangal mein kyun Thahro
guzre dinon ko yaad na kar
murda logon par mat ro
lauT gain sab aawazen
tum bhi apne ghar jao
Ghazal
KhiDki darwaza kholo
Swaleh Nadeem