khet shadab hain gulshan mein bhi ranai hai
ek muddat pe duaon ki pazirai hai
nikhat-o-rang ka paigham saba lai hai
ba-wafa kitni mere desh ki purwai hai
chandni bahr-e-taKHayyul mein utar aai hai
hajla-e-nur meri yaad ki gahrai hai
lala-o-gul ki qasam azmat-e-sahra ki qasam
abr-e-rahmat ka har ek shaKHs tamannai hai
shukr hai jazba-e-ulfat ke thapeDe kha kar
kashti-e-azm ab tufan se nikal aai hai
kaT gai raat meri sai-e-musalsal ke tufail
raushni subh-e-daraKHshan ki KHabar lai hai
dushman-e-jaan bhi teri baat ke qatil hain 'jamil'
tere har sher mein aKHlaq hai sachchai hai
Ghazal
Khet shadab hain gulshan mein bhi ranai hai
Jameel Azimabadi