اردو हिंदी
Khet se bach kar guzre basti ko virani de | Shaahi Shayari
khet se bach kar guzre basti ko virani de

Ghazal

Khet se bach kar guzre basti ko virani de

Baqar Naqvi

;

khet se bach kar guzre basti ko virani de
wo dariya kya dariya jo sagar ko pani de

sher suna koi aisa jis se lage badan mein aag
nind uD jae jis se aisi koi kahani de

sukh rahe hain bagh-baghiche nahren ret huin
ai mausam ke malik ek mausam barani de

KHud banwae mahal do-mahle hum ko sunae hadis
KHud to pahne aba qaba hum ko uryani de

toD gai dam aaKHir pyasi raat amawas ki
pyare suraj ab to apne chand ko pani de

kaun sunega tera qissa rone-dhone ka
laila majnun shamil kar koi raja rani de

ab tak tum ne 'baqar' aise kaun se kaam kiye
kis ummid pe malik tum ko nai jawani de