اردو हिंदी
KHema-zan kaun hai aaKHir ye kanar-e-dil par | Shaahi Shayari
KHema-zan kaun hai aaKHir ye kanar-e-dil par

Ghazal

KHema-zan kaun hai aaKHir ye kanar-e-dil par

Rashid Taraz

;

KHema-zan kaun hai aaKHir ye kanar-e-dil par
kis ka afsun hai ki raushan hain ishaare dil par

sham-e-eajaz ajab aai hai tanhai mein
kahkashan se utar aae sitare dil par

lag gaya tha kisi ruKHsat pe jo mabain-e-shabab
dagh us zaKHm ka ab tak hai hamare dil par

jaise mahfuz ho tum mere nihan jazbon mein
kya usi tarah main zinda hun tumhaare dil par

jab ki hum bhi nahin aamada baghawat pe abhi
kaise uDte hue aaKHir hain sharare dil par

jo mile dahr se wabasta tasawir ke sath
rakh liye dard to hum ne bhi wo sare dil par

kaun mahjub hai aankhon se ba-zahir 'rashid'
kis ke hone ke yun sabit hain nazare dil par