KHema-e-jaan ki tanabon ko ukhaD jaana tha
hum se ek roz tera gham bhi bichhaD jaana tha
kaun se kaj sanwarte hain tere hone se
kaun sa kaam na hone se bigaD jaana tha
baiat-e-ishq na ki baiat-e-shahi ke liye
qasr basna the so maqtal ko ujaD jaana tha
sang-rezon ki kami kab thi sar-e-rah-e-visal
dil-e-kam-zarf ka daman hi sikuD jaana tha
aur kab tak yunhi be-gaur-o-kafan rakhte unhen
sard KHanon mein bhi lashon ko akaD jaana tha
kya KHabar thi zar-e-ehsas ke luTte hi 'najib'
ek KHala sa dar-o-diwar mein paD jaana tha

Ghazal
KHema-e-jaan ki tanabon ko ukhDa jaana tha
Najeeb Ahmad