khela bachpan jhuma laDakpan lahki jawani chaubaron mein
laThi thame dekha buDhapa nagri ke galiyaron mein
nirt pe jhumen bhaw pe lahken madira pi kar bahken log
kaun sune jo chiKHen dabi hain pael ki jhankaron mein
bhule-bisre sapne khojen byakul nainan bekal hirdai
chandr kiran si muskati thi dahke hue angaron mein
nil-gagan par jis ka singhasan wo hai jag ka palanhaar
pagal KHud ko data samjhe sapnon ke sansaron mein
wo chandr-kiran wo rup-mati wo meri kawita meri ghazal
mele mein kuchh aise bichhDi Dub gai andhiyaron mein
chhalki chhalki aankhen chhupae honTon par muskan sajae
tum jaisa dukhiyara na dekha 'ishrat' ji dukhiyaron mein
Ghazal
Khela bachpan jhuma laDakpan lahki jawani chaubaron mein
Ishrat Qadri