khel maujon ka KHatarnak sahi kya main is khel se Dar jaunga
phir koi lahar pukaregi phir main dariya mein utar jaunga
KHub-surat hain ye aankhen lekin kya main aankhon mein Thahar jaunga
KHwab ki tarah se dekha hai tumhein KHwab ki tarah bikhar jaunga
shakl ban jaunga baadal mein kabhi purwa mein ubhar jaunga
main kisi yaad ka jhonka ban kar tere aangan se guzar jaunga
ye mohabbat mujhe taqat degi hausla degi ye himmat degi
raushni teri nazar se le kar har andhere se guzar jaunga
koi maqsad na koi mustaqbil koi sathi na hai koi manzil
tum ko jaana hai jahan tum jao kya bataun main kidhar jaunga
kyun nahin mujh ko bhi pyara hai watan hai magar sari zamin apna chaman
kisi aangan mein khila hun 'waqif' kisi dharti pe bikhar jaunga
Ghazal
Khel maujon ka KHatarnak sahi kya main is khel se Dar jaunga
Waqif rae Barelvi