KHazane bhi milen is ke ewaz to hum na bechenge
hamara gham hai mazlumon ka gham ye gham na bechenge
kuhistanon se patthar kaT kar laenge hum lekin
kisi zalim ke hathon zaKHm ka marham na bechenge
bala se dhul phanken ya purane chithDe pahnen
magar yaro mata-e-ilm-o-danish hum na bechenge
kisi darbar mein ja kar adab aur fan ki surat mein
tumhaari ambarin zulfon ke pech-o-KHam na bechenge
hamara inqalab aaega jab to kaam aaega
abhi apni tamanna ka ujala hum na bechenge
gulistan bech kar khana hawas-karon ka shewa hai
chaman walo papihon ka tarannum hum na bechenge
bhari mahfil mein 'dauran' aaj hum phir ahd karte hain
jo hai insaniyat ki aas wo parcham na bechenge
Ghazal
KHazane bhi milen is ke ewaz to hum na bechenge
Owais Ahmad Dauran