KHayal yar mujhe jab lahu rulane laga
to zaKHm zaKHm mere dil ka muskurane laga
mujhe KHud apni wafa par bhi e'timad nahin
main kyun tumhaari mohabbat ko aazmane laga
kiya hai yaad mujhe mere baad duniya ne
hua jo gharq to sahil qarib aane laga
na chhin mujh se surur-e-shab-e-firaq na chhin
qarar-e-dil ko na dastak ke taziyane laga
misal apni to hai is daraKHt ki ki jise
laga jo sang to badle mein phal girane laga
har ek samt riya ki tamazaten hain 'asad'
jo ho sake to mohabbat ke shamiyane laga
Ghazal
KHayal yar mujhe jab lahu rulane laga
Asad Jafri