KHayal tha ki guman ko yaqin bana dunga
aur ab ye KHwab likhunga bhi to miTa dunga
mujhe bhi sath hi le lo magar nahin yaro
main sust-rau hun tumhaari thakan baDha dunga
hawa-e-shab mere shoale se intiqam na le
ki main bujha to ufuq tak dhowen uDa dunga
baDe shabab se aaega sail-e-rang ab ke
phir is mein main bhi to ek ju-e-KHun mila dunga
chalo KHamosh hua main ab is sukut ke baad
na shab ko tul na ham-sae ko sada dunga
Ghazal
KHayal tha ki guman ko yaqin bana dunga
Mahshar Badayuni