KHayal-o-KHwab ki ab rahguzar mein rahta hai
ajib shaKHs hai aksar safar mein rahta hai
kisi ka dekhna muD kar wo chashm-e-tar se mujhe
hamesha ab wahi manzar nazar mein rahta hai
tamam raste muD kar yahin pahunchte hain
wo is KHayal se ab apne ghar mein rahta hai
masarraton ke kinare to Dub jate hain
safina dil ka ghamon ke bhanwar mein rahta hai
kahan hai kaise bataen yahi samajh lije
'shakil' ab to kisi chashm-e-tar mein rahta hai
Ghazal
KHayal-o-KHwab ki ab rahguzar mein rahta hai
Syed Shakeel Desnavi