KHayal-o-KHwab hui hain mohabbaten kaisi
lahu mein nach rahi hain ye wahshaten kaisi
na shab ko chand hi achchha na din ko mehr achchha
ye hum pe bit rahi hain qayamaten kaisi
wo sath tha to KHuda bhi tha mehrban kya kya
bichhaD gaya to hui hain adawaten kaisi
azab jin ka tabassum sawab jin ki nigah
khinchi hui hain pas-e-jaan ye suraten kaisi
hawa ke dosh pe rakkhe hue charagh hain hum
jo bujh gae to hawa se shikayaten kaisi
jo be-KHabar koi guzra to ye sada de di
main sang-e-rah hun mujh par inayaten kaisi
nahin ki husn hi nairangiyon mein taq nahin
junun bhi khel raha hai siyasaten kaisi
na sahban-e-junun hain na ahl-e-kashf-o-kamal
hamare ahd mein aain kasafaten kaisi
jo abr hai wahi ab sang-o-KHisht lata hai
faza ye ho to dilon mein nazakaten kaisi
ye daur-e-be-hunaran hai bacha rakho KHud ko
yahan sadaqaten kaisi karamaten kaisi
Ghazal
KHayal-o-KHwab hui hain mohabbaten kaisi
Obaidullah Aleem