KHayal-o-KHwab hua barg-o-bar ka mausam
bichhaD gaya teri surat bahaar ka mausam
kai ruton se mere nim-wa darichon mein
Thahar gaya hai tere intizar ka mausam
wo narm lahje mein kuchh to kahe ki lauT aae
samaaton ki zamin par phuwar ka mausam
payam aaya hai phir ek sarw-qamat ka
mere wajud ko khinche hai dar ka mausam
wo aag hai ki meri por por jalti hai
mere badan ko mila hai chinar ka mausam
rafaqaton ke nae KHwab KHushnuma hain magar
guzar chuka hai tere eatibar ka mausam
hawa chali to nai barishen bhi sath aain
zamin ke chehre pe aaya nikhaar ka mausam
wo mera nam liye jae aur main us ka nam
lahu mein gunj raha hai pukar ka mausam
qadam rakhe meri KHushbu ki ghar ko lauT aae
koi batae mujhe ku-e-yar ka mausam
wo rose aa ke mujhe apna pyar pahnae
mera ghurur hai bele ke haar ka mausam
tere tariq-e-mohabbat pe barha socha
ye jabr tha ki tere iKHtiyar ka mausam
Ghazal
KHayal-o-KHwab hua barg-o-bar ka mausam
Parveen Shakir