KHayal-o-fikr jahan zawiye badalte hain
wahin se nit-nae uslub chal nikalte hain
wo raat ko pae gul-gasht jab nikalte hain
falak pe chand-sitaron ke dil machalte hain
mere kalam mein mafrooza-o-qayas nahin
ye tajrabaat hain jo sher ban ke Dhalte hain
ruKH-e-hayat ko har zawiye se dekha hai
mushahidat ke qalib mein sher Dhalte hain
qadam qadam pe Haya-soziyon ka aalam hai
sanwar sanwar ke nigaran-e-shahar chalte hain
tumhaare gham se ibarat hai zindagi meri
tumhaare yaad ke dil mein charagh chalte hain
hain kaamran wahi log aaj duniya mein
jo waqt aur zamane ke sath chalte hain
gudaz-e-qalb bhi hota hai kuchh unhin ko nasib
jo dard-mand hain un ke hi dil pighalte hain
rah-e-hayat mein aisa bhi hai maqam koi
jahan jujun-o-KHirad sath sath chalte hain
juda hai rang-e-suKHan 'taj' har suKHan-war ka
ba-etebar-e-nazar, fikr-o-fan badalte hain

Ghazal
KHayal-o-fikr jahan zawiye badalte hain
Riyasat Ali Taj