KHayal mein bhi kabhi jab wo KHush-libas aae
mahakte phulon ki KHushbu bhi aas-pas aae
wafa mohabbaton isar ki kitabon mein
hamare pyar ke qisson mein iqtibas aae
wafa KHulus ada husn zulf aur naghma
KHuda kare yahi lahja ghazal ko ras aae
uruj-e-dar sabhi ko nahin hua hasil
na jaane kitne zamane mein haq-shanas aae
hamare azm ne tufan ke ruKH badal Dale
muKHalifat ki hawa aa sake to pas aae
gharib bhuk ki Thokar se KHun KHun hue
kisi amir ko ab to lahu ki bas aae
Ghazal
KHayal mein bhi kabhi jab wo KHush-libas aae
Anvar Kaifi