KHayal ki tarah chup ho sada hue hote
kam-az-kam apni hi aawaz-e-pa hue hote
taras raha hun tumhaari zaban se sunne ko
ki tum kabhi mera harf-e-wafa hue hote
ajib kaifiyat-e-be-dili hai donon taraf
ki mil ke soch rahe hain juda hue hote
bahut aziz sahi hum ko apni KHud-dari
maza to jab tha ki teri ana hue hote
ye aarzu rahi apni jo umr bhar ke liye
teri zaban pe rahe wo maza hue hote
sumum ki tarah jine se faeda kiya hai
kisi ke waste baad-e-saba hue hote
hamesha mail-e-husn-e-butan rahe 'azar'
kabhi to qail-e-husn-e-KHuda hue hote
Ghazal
KHayal ki tarah chup ho sada hue hote
Rashid Aazar