اردو हिंदी
KHayal ke phul khil rahe hain bahaar ke git ga raha hun | Shaahi Shayari
KHayal ke phul khil rahe hain bahaar ke git ga raha hun

Ghazal

KHayal ke phul khil rahe hain bahaar ke git ga raha hun

Ehsan Darbhangavi

;

KHayal ke phul khil rahe hain bahaar ke git ga raha hun
tere tasawwur ki sarzamin par nae gulistan khila raha hun

main sare barbaad-kun KHayalon ko dil ka mehman bana raha hun
KHirad ki mahfil ujaD chuki hai junun ki mahfil saja raha hun

udhar hai aankhon mein ek shararat idhar hai sine mein ek chubhan si
nazar se wo muskura rahe hain jigar se main muskura raha hun

meri musibat ye kah rahi hai KHuda mujhe aazma raha hai
meri ibaadat ye kah rahi hai KHuda ko main aazma raha hun

KHudi ke mathe pe dagh-e-sajda hawas ke chehre pe tirgi hai
main ek aaina le ke donon ko dur hi se dikha raha hun

liya na dil ne mere sahaara ubharti maujon ka shorishon ka
main apni is kashti-e-shikasta ka aap hi na-KHuda raha hun

mile na meri ghazal mein kyunkar shuur-e-hasti surur-e-masti
'jamil' ke mai-kade se 'ehsan' sharab-e-idrak pa raha hun