KHayal hai ki haqiqat hai ya fasana hai
wo nisti ho ki hasti tilism-KHana hai
nazar ka farq man-o-tu ka farq hai shayad
wahi sarab wahi ganj-e-ab-o-dana hai
jo Thahr jae to hai tausan-e-KHayal koi
jo rau mein ho to ye surat-gar-e-zamana hai
fasad-e-hirs nahin qasr-e-shahr tak mahdud
ki is lapeT mein aalam ka karKHana hai
mujhe to yun bhi KHarab-e-shabab hona tha
tere jamal ka jadu to ek bahana hai
dilon ka rabt nahin be-takallufi hai ye
kabhi kabhi ki mulaqat dostana hai

Ghazal
KHayal hai ki haqiqat hai ya fasana hai
Syed Amin Ashraf