KHayal-e-yar sada chashm-e-nam ke sath raha
mera jo chah mein dam tha wo dam ke sath raha
gaya sahar wo pari-ru jidhar jidhar yaro
main us ke saya-sifat har qadam ke sath raha
phira jo bhagta mujh se wo shoKH aahu-chashm
to main bhi thak na raha go wo ram ke sath raha
akela us ko na chhoDa jo ghar se nikla wo
har ek bahane se main us sanam ke sath raha
'nazir' pir hua to bhi bar-e-naz-e-butan
kuchh us ke dosh ke kuchh pusht-e-KHam ke sath raha
Ghazal
KHayal-e-yar sada chashm-e-nam ke sath raha
Nazeer Akbarabadi