KHayal-e-yar jab aata hai betabana aata hai
ki jaise shama ki jaanib koi parwana aata hai
tasawwur is tarah aata hai tera mahfil-e-dil mein
mere hathon mein jaise KHud ba-KHud-paimana aata hai
KHirad walo KHabar bhi hai kabhi aisa bhi hota hai
junun ki justuju mein aap hi virana aata hai
kabhi qasd-e-haram ko jab qadam apna uThata hun
mere har ek qadam par ek naya but-KHana aata hai
dar-e-jaanan se aata hun to log aapas mein kahte hain
faqir aata hai aur ba-shaukat-e-shahana aata hai
dakan ki hir se 'azad' koi ja ke ye kah de
ki ranjhe ke watan se aaj ek diwana aata hai
wahi zikr-e-dakan hai aur wahi furqat ki baaten hain
tujhe 'azad' koi aur bhi afsana aata hai
Ghazal
KHayal-e-yar jab aata hai betabana aata hai
Jagan Nath Azad