اردو हिंदी
KHayal-e-tark-e-tamanna na kar sake tu bhi | Shaahi Shayari
KHayal-e-tark-e-tamanna na kar sake tu bhi

Ghazal

KHayal-e-tark-e-tamanna na kar sake tu bhi

Nasir Kazmi

;

KHayal-e-tark-e-tamanna na kar sake tu bhi
udasiyon ka mudawa na kar sake tu bhi

kabhi wo waqt bhi aae ki koi lamha-e-aish
mere baghair gawara na kar sake tu bhi

KHuda wo din na dikhae tujhe ki meri tarah
meri wafa pe bharosa na kar sake tu bhi

main apna uqda-e-dil tujh ko saunp deta hun
baDa maza ho agar wa na kar sake tu bhi

tujhe ye gham ki meri zindagi ka kya hoga
mujhe ye zid ki mudawa na kar sake tu bhi

na kar KHayal-e-talafi ki mera zaKHm-e-wafa
wo zaKHm hai jise achchha na kar sake tu bhi