اردو हिंदी
KHayal-e-subh ki ranaiyan kuchh aur kahti hain | Shaahi Shayari
KHayal-e-subh ki ranaiyan kuchh aur kahti hain

Ghazal

KHayal-e-subh ki ranaiyan kuchh aur kahti hain

Sajida Zaidi

;

KHayal-e-subh ki ranaiyan kuchh aur kahti hain
andheri raat ki tanhaiyan kuchh aur kahti hain

kabhi jam-e-tarab ki samt dast-e-shauq baDhta hai
to us kaam-o-dahan ki talKHiyan kuchh aur kahti hain

meri nazron ki pahnai mein hain ajza-e-do-alam
guman-o-waham ki parchhaiyan kuchh aur kahti hain

faraghat chahti hai zindagi do-chaar lamhe ki
magar rah-e-wafa ki saKHtiyan kuchh aur kahti hain

meri be-KHwab aankhon mein Kyayal-e-subh-e-farda hai
dil-e-bedar ki KHamoshiyan kuchh aur kahti hain